Friday, May 30, 2008

इंतज़ार....




tere bina saanjh dhalthi nahin
andheri raath kat thi nahi
tere intezaar mein main khadi rahi
mehsoos hota hai, tum aa gaye kahin

aankhon mein tere sapne suhane
yaad aathi hai tumhare nakhre bahane
gunguna dethi hoon aise hi kuch gaane
teri un yaadon ko barkharaar rakhne

teri yaadein jalathe hain in naram honton ko
tadpaathi hain in nasheeli aankhon ko
lagthi hai aag mere dil ke paron par
ro dethi hoon main, dho boondein tapkaakar

shyaam ki woh tandi hawa ka jhonka
bikharthi hai meri khaali ghata zulfon kaa
yaad dilaathi hai teri un shararathi baaton ka
aur meri sharmaane ki un tareekhon ka

chaand sitaarein sunaathi hain mujhe prem kahaniya
yaad dila deti hain mujhko teri woh jhooti vaadiya
dekar main tumhe main ek dho gaaliyan
chali jaathi hoon andhar savar ke baaliyan

aakhir thak gayin hoon raah dekhathe
meri aahat ko tum kyon nahi samajhthe?
khule hain darwaazein mere dil ke priyatam,
intezaar main khadi hai, teri sargam!

Sookhein hain yaadein teri...

1 comment:

Unknown said...

nivs, i will translate this to kannda, and will send you..... :-) nice one...

Post a Comment